Ye Jis din bhi kya tark h
Hum sab hi k paas hota h
Kabhi aas bandhe rakhne ka dilasa dene k liye
Toh kabhi kaam ko taal dene k liye
Jis din ye hoga toh mein wo karungi
Haalaki mujhe nahi pata kab wo din aayega
Phir bhi aas bandhe hu
Aakhir kyu?
Kal ka kuch pata nahi hume
Jivan humara itna anishchit h
Najane kab kya ho jana h
Phir bhi sabka ek Jis din h
Kitne Jis din sach hote h?
Kitne bas talte talte kho jaate h
Kyu nahi aaj abhi ko hi Jis din banaye
Kyu uss din k liye h hazzaron sharte lagaye
Ek hi sach hi Jivan ka
Nischit h marn hum sab hi ka
Uske baad Jis din gum ho jaega
Aakhiri saans mein bas afsoos hi reh jaega
Mat bandho khud ko adrishy jaal mein
Jiyo Jis din ko abhi k hi haal mein
Sharte saari kabhi puri ho kya jaruri h
Ye samay k saath aur kathinayi se hoti puri h
Daro ki Jis din k intezar mein Zindagi koi bhyanak roop na le le
Aur badle mein aise gehre dard na de de
Ki jab Jis din ki sharte puri ho
Tab khushi baatne wale na ho
Comments
Post a Comment