Skip to main content

Tala Tale

Taala kya janta h?
Kya kya wo bandhta h?

Amir ki tijori pe bhi h
Aur garib k ghar bhi h
Sabhi jagah wo paya jata h

Par jo taala na lagaya ho toh
Ek hi smaan chahe koi heere ka vyapari ho
Ya ek mazdur
Apne samaan k liye ghabrata h

Ab yug jo h computer ka
Toh taala password wala bhi h
Pucho kisi lekhak se kya apna laptop
Bina lock kiye wo kahin ja pata h?

Kitni alag h wo cheezein
Jinko taala sambhalta h
Phir prashn ye h
Kaise usme band saaman ka mol kiya jata h?

Seth k paise gehne
Aur garib k char bartan
Ya ho lekhak ki nayi kaahani
Dekho toh sab ka hi mol ek sa ho jata h

Kyunki taala toh kabi nahi jaan pata h
Par dekhne wale ko zarur ek ehsaas deta h
Taala jisko bachata h wo dusro k liye
Chahe kuch ho na ho
Par taala lagane wale ka bahut kuch hota h.

Iss bhav ko samjh hi taala sirf apna kartavy nibhata h
Shayad taala jaanta h par bataana nahi chahta h
Kya kya wo sambhalta h.

Comments